Wednesday, January 18, 2012

GUSHAL KA TARIKA AUR AHMEYAT

 [1]
HAZRAT-E-AYSHA-RAZIYALLAHO-TA-ALA-ANHA- Ne faramaya ki rasul-e-karim ALAYHISHSALATU-WAS-SALIAM se mard ke bare main pucha gaya ki jo gilapan paye aur khawab mai napaki hona yaad na hare-Farmaya gushal kare, aur us shakhsh ke bare main pucha gaya jisse khawb ka yakin hai aur gilapan nahi pata farmaya us par gushal nahi
. (TIRMIZI SHARIF)

[2] HAZRAT-E-ABU-HURAIRA-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHO- Ne kaha ki huzur ALAYHISHSALATU-WAS-SALIAM ne farmaya jab tumne koi awrat ke hathho aur pawo ke darmiyan bayethhe fir koshish yani HAMBISHTARI kare to gushal wajib ho gaya agarche MANI na nikle. (BUKHARI SHARIF)

[3]
HAZRAT-E-ABU-HURAIRA-RAZIALLAHO-TA-ALA-ANHO- Ne kaha ki rasul-e-karim ALAYHISHSALATU-WAT-TASLIM ne farmaya ki har baal ke niche zanabat ka asar hai isliye har baal dhhowo aur badan ko saf suthra karo. (TIRMIZI)

HAZRAT-MULLA-ALI-QARI-RAHEMATULLAH-ALAYE- is hadith ke niche likhte hai ki agar ek baal bhi pani pahuchne se raha gaya to uski napaki baki rahegi (MIRKAT JILD-1 SAFA-327)

+ Gushal KA TARIKA YE HE KE.....

- Pahele dono hath gatto tak 3-martaba dhoye
- Fir istinze ki jagaha dhoye
- Us ke baad badan par agarche kahi nazasat yahi peshab ya pakhana ya mani(semen) wagayera ho to usse dur kare
- Fir namaz jayesa wazu kare magar pawo na dhoye, agar chawki ya paththar wagayera uchhai par nahate ho to pawo(legs) bhi dhole
- Uske baad badan par tel ki tarah pani bahaye fir 3-martaba dahine kandhe par pani bahaye aur fir - martaba baye kandhe par fir sar par aur pure badan par 3-bar pani bahaye sare badan par hath fere aur male
- Fir gushal karne ki jagaha ke hatjaye aur agar wazu karne mai pao na dhoye hoto ab dhole aur fawran kapde pahenle.

Ahteyat Rakhne Ki Batein....
* Logo ke samne raan aur ghudne khol kar gushal ya itna barik kapda pahen kar gushal karna ki badan jhalke nazayez wa haram hai. (AAM-E-QUTUB)

 * Mani ka apni jagaha se shahwat ke shath alag hokar nikalna ahetilam hona “hashfa ka dakhil hona” hayez se paak hona, nafas ka khatam hona, in tamam surato mai gushal karna farz hai, aur juma, eid, bakraeid, arafa, ke dil aur aheram bandhte waqt gushal sunnat hai. (BAHAR-E-SHARIYAT)

Mahutram bhaio in chizo per amal kr na bahot zaroori he Kyu Ki Paki Adha Iman He....Jab Gusal Sahi nahi hoga to Sahi tarika se Paki hasil nahi hogi aur jab paki hasil nahi hogi to Namaz Sahi Nahi Ho Sakti...
Allah Amal Ki Tofiq Ata Farmayen..................AMIN

No comments:

Post a Comment